Saturday 25 November 2006

Morbid Narcissism would be an Understatement!



Meri zindagi mein kya rakkha hai, tumahri baton ke siva?
Mere zehen mein kaun si baat hai jo tumne nahi prerit ki?
Meri saanson mein kaun si mehek hai jo tumhe chhu kar nahi aayee?

Kaun ho tum?
Jeene kyon nahi dete mujhe, kya bigada hai tumhara maine?

Ek arsa ho gaya hai khud ko dekhe
Bas tum hi tum dikhte ho
Charon taraf ek dhooan sa rehta hai
Uss dhooein mein se tum dikhte ho.

Tum hansaa sakte ho, tum rula sakte ho;
Tum bol sakte ho, tum gaa sakte ho;
Unhein tumhari zaroorat hai, tum unke mohtaaj nahin
Duniya ne kam hi dekhe hain jo tum jaise kehlate hain.

Tum mujh jaise nahin ho.
Tumhari baatein, acchi buri, sab duniya sweekarti hai.
Un mukhdon ki muskan tumhare isharon par nachti hai.
Dutkara jaana kya hota hai tumhe kya maloom,
Uss duniya ke baahar to pair tumhaare pade hi nahin.

Dhooan badhta jaata hai, tum door hone lagte ho;
Chhatpatane ki harkat karta hoon, tum paas aa jaate ho.

Aaj haunsla tutne lagta hai,
Dil ke aansoo bikharte hain, sab simatne sa lagta hai.
Par ek lau hai jo, na jaane kyon, jalti rahti hai,
Aur mujhe yaad dilaati hai ki iss dhooen ke peeche
Ek aaeena rakkha hai.